Dukh dard ke maaron se mera zikar na karna...
ghar jao to yaaron se mera zikar na karna...

Woh zabt na kar payenge aankhon ke samandar...
tum raah guzaron se mera zikar na karna...

Phoolon ke nasheman mein raha hoon mein sada se...

dekho kabhi khaaron se mera zikar na karna...

Shayad ye andhere hi mujhe raah dikhayein...
ab chaand sitaron se mera zikar na karna...

Woh meri kahani ko galat rang na de dein...
afsana nigaaron se mera zikar na karna...

Shayad woh mere haal pe besakhta ro dein...
is baar baharon se mera zikar na karna...

Le jayenge gehrayi mein tum ko bhi baha kar...
darya ke kinaron se mera zikar na karna...

Woh shakhs mile to usey har baat batana...
Tum sirf isharon se mera zikar na karna...

No comments:

Post a Comment