Main Saans Bhi Gin Kar Leta Hun,

Jis Roz Safar Main Rehta Hun,

 Ek Khofzada Jeewan Le Kar Main Mout K Ghar Mein Rehta Hun.

Jahan Zaat Nasal K Jhagrro Pe Hathiyar Uthaya Jaata Hai,

Har Roz Kai Masalmaano Ka Jahan Khoon Bahaya Jaata Hai,

Jahan Mout Bhi Maatam Karti Hai,

Main Usi Nagar Main Rehta Hun,

Ek Khofzada Jeewan Le Kar Main Moat K Ghar Main Rehta Hun.

Har Roz Kisi Maa Ka Beta, Be Mout Hi Maara Jaata Hai,

Har Roz Kisi Ki Mayyat Ko Dharti Main Utaara Jaata Hai,

Kabhi Main Bhi Mara Jaunga, Main Isi Fikar Main Rehta Hun,

Jis Shehr Ka Naam Karachi Hai, Main Usi Shehar Main Rehta Hun.......!!

No comments:

Post a Comment